March 12, 2011

Bachpan ek dhundle sapne ki tarah

Aksar mujhe yaad aata hai



Wo barish me nahana barf ke gole banana

Mujhe yaad aata hai



Wo khilkhilahat wo har baat pe aansoo

Mujhe yaad aate hain



Wo pedd pe chadna aur mitti se nahana

Mujhe yaad aata hai



Mujhe yaad aata hai maa ki godd me sonna

Wo papa ke ballo ki gutt banana



Wo andhere ka darr aur wo ghanti bajane ka sahauq

Sab ek ek kar ke mujhe yaad aata hai



Ek dhundle sapne ki tarah



kho gayya hai wo bachpan wo bholapan wo befikrii



Jo mujhe yaad aati hai ek dhundle sapne ki tarah



Sochta hunn kya payya wo bachpan gawa ke

Wo bholapana wo ladakpan gawwa ke



Khoya hi khoya hai kya payya hahi maine

Uss ujale bachpan ko chod jawanni me aake



Par kya payya maine wo bachpan gawwan ke

Wo ladakpan wo bholapan gawan ke...

February 22, 2011

Tanhayee me kuch to khass hai...
itne barso se jo wo mere satth hai...
dukh ho dard ho ya backana sa koi gamm ho
itne barso se wo mere satth hai...
lamba rasta ho ya chotti se manzill....
itne barso se wo mere satth hai...
har khwab har darr jantti hai wo...
itne barso se jo wo mere satth hai...
Pyar ho chala hai us se mujhe yeh jantti hai wo..
itne barso se jo mere satth hai...

Tanhayye me kuch to khass hai..